Beeta Hoa Zamana
Beeta hoa zamana kyon yaad aata hai
Kuch khushian kuch ghum lai aata hai
Badn mai sukoon sa aalam hojata hai
Muskarahat aajati hai jab bachpan yaad aata hai
Woh yaadein shakal pai noor lai aata hai
Jin kai saharay hum nai apni zindagi basai hai
Inhi yaadoon kai saharay hi hai
Jo humain ghum sai dur lai jati hai
Lekin zindagi humain us moor par lai aati hai
Jin kai saath humari muskarahat chali jaati hai
Ansoo in waqtoon pai lai aati hai
Afsurda sa ik mahaul bana jati hai
1 Comments:
yeh yadin kash hoti bas aik pal ki judai ki baat
tum yunhi hotay hamseha sath,har pal ko muskanay,har sans jaganay
8:30 PM
Post a Comment
<< Home